aisi shadid raushni mein jal marunga main
aisi shadid raushni mein jal marunga main
Sohaib Mugheera Siddiqi
MORE BYSohaib Mugheera Siddiqi
aisī shadīd raushnī meñ jal marūñgā maiñ
itne hasīn shaḳhs ko kaise sahūñgā maiñ
mujh se mirā vajūd to sābit nahīñ huā
tū aañkh bhar ke dekh le hone lagūñgā maiñ
maiñ mai-kade se duur huuñ par dā.ere meñ huuñ
zinda rahā to tere gale aa lagūñgā maiñ
maiñ vo ajiib shaḳhs huuñ ki chand roz tak
pāgal na kar sakā to use maar dūñgā maiñ
aisi shadid raushni mein jal marunga main
itne hasin shaKHs ko kaise sahunga main
mujh se mera wajud to sabit nahin hua
tu aankh bhar ke dekh le hone lagunga main
main mai-kade se dur hun par daere mein hun
zinda raha to tere gale aa lagunga main
main wo ajib shaKHs hun ki chand roz tak
pagal na kar saka to use mar dunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.