aisi taDap ata ho ki duniya misal de
aisi taDap ata ho ki duniya misal de
Malikzaada Manzoor Ahmad
MORE BYMalikzaada Manzoor Ahmad
aisī taḌap 'atā ho ki duniyā misāl de
ik mauj-e-tah-nashīñ huuñ mujhe bhī uchhāl de
be-chehragī kī bhiiḌ meñ gum hai mirā vujūd
maiñ ḳhud ko DhūñDhtā huuñ mujhe ḳhadd-o-ḳhāl de
har lahza bante TūTte rishte na hoñ jahāñ
pichhlī rafāqatoñ ke vahī maah o saal de
Kashkol-e-zāt le ke na jā.ūñ maiñ dar-ba-dar
hājat-ravā ho sab kā vo dast-e-savāl de
is dasht-e-pur-sarāb meñ bhaTkūñ kahāñ kahāñ
zinjīr-e-āgahī mire pairoñ meñ Daal de
'manzūr' kā ye zarf ki kuchh māñgtā nahīñ
marzī tirī jo chāhe use zul-jalāl de
aisi taDap 'ata ho ki duniya misal de
ek mauj-e-tah-nashin hun mujhe bhi uchhaal de
be-chehragi ki bhiD mein gum hai mera wujud
main KHud ko DhunDhta hun mujhe KHadd-o-KHal de
har lahza bante TuTte rishte na hon jahan
pichhli rafaqaton ke wahi mah o sal de
Kashkol-e-zat le ke na jaun main dar-ba-dar
hajat-rawa ho sab ka wo dast-e-sawal de
is dasht-e-pur-sarab mein bhaTkun kahan kahan
zinjir-e-agahi mere pairon mein Dal de
'manzur' ka ye zarf ki kuchh mangta nahin
marzi teri jo chahe use zul-jalal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.