aisi wahshat pe main qurban bhi ho sakta hun
aisī vahshat pe maiñ qurbān bhī ho saktā huuñ
maiñ jo dariyā huuñ bayābān bhī ho saktā huuñ
hañsne rone ke alāva bhī rasā.ī hai mirī
maiñ agar chāhūñ to hairān bhī ho saktā huuñ
maiñ ki jis ḳhaak meñ pāmāl huā jaatā huuñ
maiñ isī ḳhaak pe ehsān bhī ho saktā huuñ
mujh pe mushkil na banā guzrī huī yādoñ ko
maiñ tujhe bhuul ke āsān bhī ho saktā huuñ
itne ġham dete hue ye bhī na sochā us ne
maiñ kisī ġham meñ pareshān bhī ho saktā huuñ
maiñ ki jis shauq meñ ābād huuñ 'maqsūd' 'vafā'
maiñ usī shauq meñ vīrān bhī ho saktā huuñ
aisi wahshat pe main qurban bhi ho sakta hun
main jo dariya hun bayaban bhi ho sakta hun
hansne rone ke alawa bhi rasai hai meri
main agar chahun to hairan bhi ho sakta hun
main ki jis KHak mein pamal hua jata hun
main isi KHak pe ehsan bhi ho sakta hun
mujh pe mushkil na bana guzri hui yaadon ko
main tujhe bhul ke aasan bhi ho sakta hun
itne gham dete hue ye bhi na socha us ne
main kisi gham mein pareshan bhi ho sakta hun
main ki jis shauq mein aabaad hun 'maqsud' 'wafa'
main usi shauq mein viran bhi ho sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.