aisi waisi pe qanaat nahin kar sakte hum
aisī vaisī pe qanā.at nahīñ kar sakte ham
daan ye faqr kī daulat nahīñ kar sakte ham
ik adāvat se farāġhat nahīñ miltī varna
kaun kahtā hai mohabbat nahīñ kar sakte ham
kisī ta.abīr kī sūrat meñ nikal aate haiñ
apne ḳhvāboñ meñ sukūnat nahīñ kar sakte ham
shāḳh se toḌ liyā karte haiñ aage baḌh kar
jin kī ḳhushbū pe qanā.at nahīñ kar sakte ham
be-ḳhabar yuuñ ki har ik baat ḳhabar lagtī hai
ḳhabar aise hai ki hairat nahīñ kar sakte ham
aisi waisi pe qanaat nahin kar sakte hum
dan ye faqr ki daulat nahin kar sakte hum
ek adawat se faraghat nahin milti warna
kaun kahta hai mohabbat nahin kar sakte hum
kisi tabir ki surat mein nikal aate hain
apne KHwabon mein sukunat nahin kar sakte hum
shaKH se toD liya karte hain aage baDh kar
jin ki KHushbu pe qanaat nahin kar sakte hum
be-KHabar yun ki har ek baat KHabar lagti hai
KHabar aise hai ki hairat nahin kar sakte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.