Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui

Osaama ameer

ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui

Osaama ameer

ajab āhang thā us shor meñ bhī ḳharch huī

merī āvāz-e-sukūt-e-ajabī ḳharch huī

ek aan meñ dīdār huā baat huī

ḳhvāhish-e-vasl sar-e-tūr sabhī ḳharch huī

zindagī tere ta'āqub meñ guzārī huī shab

baḌī mushkil se milī aur yūñhī ḳharch huī

sub.h tak zulf-e-siyah-rang jaadū thā ajab

raat botal meñ thī jitnī bhī bachī ḳharch huī

sub.h uThte maiñ kuchh dhuup bharūñgā in meñ

ḳhvāb dekheñ haiñ to āñkhoñ namī ḳharch huī

kitnī tah-dār ḳhalā hai ye ḳhalā ke andar

āsmāñ dekh ke nūr-e-nazarī ḳharch huī

kyā achchhī thī kalā.ī meñ bañdhī rahtī thī

vaqt ko dekhte rahne se ghaḌī ḳharch huī

baḌī vīrānī sar-e-kūcha-e-zulmat hai nasīb

aap aa.e haiñ to thoḌī sahī ḳharch huī

ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui

meri aawaz-e-sukut-e-ajabi KHarch hui

ek hi aan mein didar hua baat hui

KHwahish-e-wasl sar-e-tur sabhi KHarch hui

zindagi tere ta'aqub mein guzari hui shab

baDi mushkil se mili aur yunhi KHarch hui

subh tak zulf-e-siyah-rang ka jadu tha ajab

raat botal mein thi jitni bhi bachi KHarch hui

subh uThte hi main kuchh dhup bharunga in mein

KHwab dekhen hain to aankhon ki nami KHarch hui

kitni tah-dar KHala hai ye KHala ke andar

aasman dekh ke nur-e-nazari KHarch hui

kya hi achchhi thi kalai mein bandhi rahti thi

waqt ko dekhte rahne se ghaDi KHarch hui

baDi virani sar-e-kucha-e-zulmat hai nasib

aap aae hain to thoDi hi sahi KHarch hui

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now