ajab afwah thi insan hai fani
ajab afvāh thī ''insāñ hai fānī''
hai bā'd-e-maut bhī ik zindagānī
jahāñ meñ aañkh kyā kholī ki dekhā
adam ab hai zamānī-o-makānī
ye mahfil hai ḳhirad-mandoñ kī mahfil
yahāñ kis se kahūñ dil kī kahānī
achānak haath meñ ra.asha ye kaisā
abhī thī baaḌh par merī javānī
zabān-e-be-zabānī kaun samjhe
miyān-e-majma'-e-sho'la-bayānī
ajab afwah thi insan hai fani
hai ba'd-e-maut bhi ek zindagani
jahan mein aankh kya kholi ki dekha
adam ab hai zamani-o-makani
ye mahfil hai KHirad-mandon ki mahfil
yahan kis se kahun dil ki kahani
achanak hath mein rasha ye kaisa
abhi thi baDh par meri jawani
zaban-e-be-zabani kaun samjhe
miyan-e-majma'-e-sho'la-bayani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.