ajab ehsas se aari hai duniya
ajab ehsās se aarī hai duniyā
magar phir bhī bahut pyārī hai duniyā
nahīñ chhoḌegī jab tak saañs baaqī
hamārī jaan pe bhārī hai duniyā
kabhī simTe kisī ik shaḳhs meñ ye
kabhī aflāk pe taarī hai duniyā
sikandar kī kabhī mahbūb hai ye
kabhī majnūñ kī be-zārī hai duniyā
nikal jaao salīqe se yahāñ se
isī nuqte kī tayyārī hai duniyā
yahī sach hai tavīl ik niiñd meñ hai
gumāñ ye hai ki bedārī hai duniyā
terī duniyā kī majbūrī hai 'kundan'
aur is shā.ir kī lāchārī hai duniyā
ajab ehsas se aari hai duniya
magar phir bhi bahut pyari hai duniya
nahin chhoDegi jab tak sans baqi
hamari jaan pe bhaari hai duniya
kabhi simTe kisi ek shaKHs mein ye
kabhi aflak pe tari hai duniya
sikandar ki kabhi mahbub hai ye
kabhi majnun ki be-zari hai duniya
nikal jao saliqe se yahan se
isi nuqte ki tayyari hai duniya
yahi sach hai tawil ek nind mein hai
guman ye hai ki bedari hai duniya
teri duniya ki majburi hai 'kundan'
aur is shair ki lachaari hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.