ajab haalat hamari ho gai hai
ajab hālat hamārī ho ga.ī hai
ye duniyā ab tumhārī ho ga.ī hai
suḳhan merā udāsī hai sar-e-shām
jo ḳhāmoshī pe taarī ho ga.ī hai
bahut hī ḳhush hai dil apne kiye par
zamāne-bhar meñ ḳhvārī ho ga.ī hai
vo nāzuk-lab hai ab jaane hī vaalā
mirī āvāz bhārī ho ga.ī hai
dil ab duniyā pe la.anat kar ki is kī
bahut ḳhidmat-guzārī ho ga.ī hai
yaqīñ ma.azūr hai ab aur gumāñ bhī
baḌī be-roz-gārī ho ga.ī hai
vo ik bād-e-shumālī-rañg jo thī
shamīm us kī savārī ho ga.ī hai
mire paas aa ke ḳhanjar bhoñk de tū
bahut neza-guzārī ho ga.ī hai
ajab haalat hamari ho gai hai
ye duniya ab tumhaari ho gai hai
suKHan mera udasi hai sar-e-sham
jo KHamoshi pe tari ho gai hai
bahut hi KHush hai dil apne kiye par
zamane-bhar mein KHwari ho gai hai
wo nazuk-lab hai ab jaane hi wala
meri aawaz bhaari ho gai hai
dil ab duniya pe lanat kar ki is ki
bahut KHidmat-guzari ho gai hai
yaqin mazur hai ab aur guman bhi
baDi be-roz-gari ho gai hai
wo ek baad-e-shumali-rang jo thi
shamim us ki sawari ho gai hai
mere pas aa ke KHanjar bhonk de tu
bahut neza-guzari ho gai hai
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 145)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.