ajab hua ki mujhe maut se hayat hui
ajab huā ki mujhe maut se hayāt huī
jab us kī zaat meñ tahlīl merī zaat huī
har ek lafz sitāre meñ ho gayā tabdīl
tamām raat mirī āsmāñ se baat huī
sajā diye the muñDeroñ pe be-qarār charāġh
darūn-e-rāt mujhe aur ek raat huī
harī rutoñ meñ hameñ shāḳh shāḳh dekhnā tum
vo phuul phuul khilā maiñ bhī paat paat huī
maiñ saañp sīḌhī se pātāl tak girā.ī ga.ī
maiñ jaan hī na sakī jiit thī ki maat huī
tavīl uḌaan ne mādūm kar diyā hai vajūd
maiñ be-sabāt thī kuchh aur be-sabāt huī
tamām hone na hone kī sā.atoñ meñ 'sahar'
vo ek shakl mujhe puurī kā.enāt huī
ajab hua ki mujhe maut se hayat hui
jab us ki zat mein tahlil meri zat hui
har ek lafz sitare mein ho gaya tabdil
tamam raat meri aasman se baat hui
saja diye the munDeron pe be-qarar charagh
darun-e-raat mujhe aur ek raat hui
hari ruton mein hamein shaKH shaKH dekhna tum
wo phul phul khila main bhi pat pat hui
main sanp siDhi se patal tak girai gai
main jaan hi na saki jit thi ki mat hui
tawil uDan ne madum kar diya hai wajud
main be-sabaat thi kuchh aur be-sabaat hui
tamam hone na hone ki saaton mein 'sahar'
wo ek shakl mujhe puri kaenat hui
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.