ajab ek baat uski baat mein thi
ajab ik baat us kī baat meñ thī
ki ḳhushbū peḌ ke har paat meñ thī
tumheñ ham se mohabbat kā gilā thā
mohabbat kab hamāre haath meñ thī
ye aise the ki ḳhush aate bahut the
koī ḳhushbū inhī din raat meñ thī
ajab mausam tumhāre ba.ad aa.e
ajab be-raunaqī barsāt meñ thī
añdhere meñ nazar aane lagā thā
koī to raushnī zulmāt meñ thī
ga.e vaqtoñ meñ aisā to nahīñ thā
yahī duniyā thī aur auqāt meñ thī
kahīñ to vaqt jaise ruk gayā thā
kahīñ par umr bhī lamhāt meñ thī
huā thā vāqi.a kuchh aur lekin
ḳhabar kuchh aur aḳhbārāt meñ thī
bahut thī dhuup meñ shiddat bhī 'ḳhālid'
magar talḳhī jo ehsāsāt meñ thī
ajab ek baat us ki baat mein thi
ki KHushbu peD ke har pat mein thi
tumhein hum se mohabbat ka gila tha
mohabbat kab hamare hath mein thi
ye aise the ki KHush aate bahut the
koi KHushbu inhi din raat mein thi
ajab mausam tumhaare baad aae
ajab be-raunaqi barsat mein thi
andhere mein nazar aane laga tha
koi to raushni zulmat mein thi
gae waqton mein aisa to nahin tha
yahi duniya thi aur auqat mein thi
kahin to waqt jaise ruk gaya tha
kahin par umr bhi lamhat mein thi
hua tha waqia kuchh aur lekin
KHabar kuchh aur aKHbaraat mein thi
bahut thi dhup mein shiddat bhi 'KHalid'
magar talKHi jo ehsasat mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.