ajab KHun-chakan karbala ka saman tha
ajab ḳhūñ-chakāñ karbalā kā samāñ thā
the sab tishna-lab aur dariyā ravāñ thā
musībat ke māroñ kā ik kārvāñ thā
har ik ġham-zada būḌhā bachcha javāñ thā
thā ik ālam-e-hashr har samt goyā
thā bad-hāl har shaḳhs jo bhī jahāñ thā
sisakte the bachche bilaktī thiiñ maa.eñ
jo insān bhī pyaas se nā-tavāñ thā
sitam aaj bhī us kā vird-e-zabāñ hai
yazīd-e-la.īñ jo vahāñ hukmarāñ thā
thā ḳhemoñ meñ kohrām jo jal rahe the
har ek samt jaise dhuāñ hī dhuāñ thā
huā karbalā meñ jo qurbān 'barqī'
husain ibn-e-haidar kā vo ḳhāndāñ thā
ajab KHun-chakan karbala ka saman tha
the sab tishna-lab aur dariya rawan tha
musibat ke maron ka ek karwan tha
har ek gham-zada buDha bachcha jawan tha
tha ek aalam-e-hashr har samt goya
tha bad-haal har shaKHs jo bhi jahan tha
sisakte the bachche bilakti thin maen
jo insan bhi pyas se na-tawan tha
sitam aaj bhi us ka wird-e-zaban hai
yazid-e-lain jo wahan hukmaran tha
tha KHemon mein kohram jo jal rahe the
har ek samt jaise dhuan hi dhuan tha
hua karbala mein jo qurban 'barqi'
husain ibn-e-haidar ka wo KHandan tha
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.