ajab KHwabon se mera rabta rakkha gaya
ajab ḳhvāboñ se merā rābta rakkhā gayā
mujhe so.e-huoñ meñ jāgtā rakkhā gayā
vo koī aur ghar the jin meñ tayyab rizq pahuñche
hameñ to bas qatāroñ meñ khaḌā rakkhā gayā
mo.attal kar diye aazā se aazā ke ravābit
yahāñ jismoñ ko āñkhoñ se judā rakkhā gayā
vo jis par sirf phūloñ kī duā.eñ phūTtī haiñ
usī miTTī meñ vo dast-e-duā rakkhā gayā
ajab KHwabon se mera rabta rakkha gaya
mujhe soe-huon mein jagta rakkha gaya
wo koi aur ghar the jin mein tayyab rizq pahunche
hamein to bas qataron mein khaDa rakkha gaya
moattal kar diye aaza se aaza ke rawabit
yahan jismon ko aankhon se juda rakkha gaya
wo jis par sirf phulon ki duaen phuTti hain
usi miTTi mein wo dast-e-dua rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.