ajab main hun ajab hi dil hai jaanan
ajab maiñ huuñ ajab hī dil hai jānāñ
ye pāgal tujh pe hī maa.il hai jānāñ
jise sab kah rahe haiñ apnā rahbar
vahī hai haañ vahī qātil hai jānāñ
yahāñ haamī nahīñ koī hamārā
ye puurā shahr hī buzdil hai jānāñ
zamāne ke sitam haiñ be-tahāshā
tirā ġham saath meñ shāmil hai jānāñ
hamārī maut kā baa.is banegā
laboñ ke paas jo ik til hai jānāñ
nahīñ agle janam kā bhī dilāsa
musalmāñ huuñ baḌī mushkil hai jānāñ
ajab main hun ajab hi dil hai jaanan
ye pagal tujh pe hi mail hai jaanan
jise sab kah rahe hain apna rahbar
wahi hai han wahi qatil hai jaanan
yahan hami nahin koi hamara
ye pura shahr hi buzdil hai jaanan
zamane ke sitam hain be-tahasha
tera gham sath mein shamil hai jaanan
hamari maut ka bais banega
labon ke pas jo ek til hai jaanan
nahin agle janam ka bhi dilasa
musalman hun baDi mushkil hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.