ajab pagal hai dil kar-e-jahan bani mein rahta hai
ajab pāgal hai dil kār-e-jahāñ baanī meñ rahtā hai
ḳhudā jab dekhtā hai ḳhud bhī hairānī meñ rahtā hai
maiñ vo TuuTā huā taarā jise mahfil na raas aa.ī
maiñ vo shola jo shab bhar aañkh ke paanī meñ rahtā hai
koī aisā nahīñ miltā jo mujh meñ Duub kar dekhe
mire ġham ko jo mere dil kī vīrānī meñ rahtā hai
hazāroñ bijliyāñ TūTīñ nasheman bhī jalā lekin
koī to hai jo is ghar kī nigahbānī meñ rahtā hai
ḳhudā aur nāḳhudā donoñ ḳhajil haiñ haal par mere
maiñ vo tinkā huuñ jo āġhosh-e-tuġhyānī meñ rahtā hai
rumūz-e-mumlikat yā rab ḳhirad samjhe yā tū jaane
junūñ merā to shauq-e-chāk-dāmānī meñ rahtā hai
ġhazal likhne se kyā hogā 'mujībī' kuchh qasīde likh
sharaf sunte haiñ ab tarz-e-sanā-ḳhvānī meñ rahtā hai
ajab pagal hai dil kar-e-jahan bani mein rahta hai
KHuda jab dekhta hai KHud bhi hairani mein rahta hai
main wo TuTa hua tara jise mahfil na ras aai
main wo shola jo shab bhar aankh ke pani mein rahta hai
koi aisa nahin milta jo mujh mein Dub kar dekhe
mere gham ko jo mere dil ki virani mein rahta hai
hazaron bijliyan TuTin nasheman bhi jala lekin
koi to hai jo is ghar ki nigahbani mein rahta hai
KHuda aur naKHuda donon KHajil hain haal par mere
main wo tinka hun jo aaghosh-e-tughyani mein rahta hai
rumuz-e-mumlikat ya rab KHirad samjhe ya tu jaane
junun mera to shauq-e-chaak-damani mein rahta hai
ghazal likhne se kya hoga 'mujibi' kuchh qaside likh
sharaf sunte hain ab tarz-e-sana-KHwani mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.