ajab rang aankhon mein aane lage
ajab rañg āñkhoñ meñ aane lage
hameñ rāste phir bulāne lage
ik afvāh gardish meñ hai in dinoñ
ki dariyā kināroñ ko khāne lage
ye kyā yak-ba-yak ho gayā qissa-go
hameñ āp-bītī sunāne lage
shagun dekheñ ab ke nikaltā hai kyā
vo phir ḳhvāb meñ baḌbaḌāne lage
har ik shaḳhs rone lagā phuuT ke
ki 'āshufta'-jī bhī Thikāne lage
ajab rang aankhon mein aane lage
hamein raste phir bulane lage
ek afwah gardish mein hai in dinon
ki dariya kinaron ko khane lage
ye kya yak-ba-yak ho gaya qissa-go
hamein aap-biti sunane lage
shagun dekhen ab ke nikalta hai kya
wo phir KHwab mein baDbaDane lage
har ek shaKHs rone laga phuT ke
ki 'ashufta'-ji bhi Thikane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.