ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai
'ajab rañg-e-tilism-o-tarz-e-nau hai
diyā hai aag kā miTTī kī lau hai
mujhe sun leñgī to dekheñgī āñkheñ
mirī āvāz meñ sūraj kī zau hai
rikāb aur baag qaabū meñ nahīñ haiñ
ye asp-e-vaqt kitnā tez-rau hai
mirī tā'rīf ke haiñ do havāle
qadam aflāk par muTThī meñ jau hai
nahīñ hai hurriyat kī koī qīmat
magar piñjre kī qīmat chaar sau hai
maiñ kyā hariyāliyoñ kī aas bāñdhūñ
zamīñ ke saath sapnā bhī giro hai
'tarīr' aañsū haiñ aur dhundlāhaTeñ haiñ
ye kaisī kahkashāoñ kī jilau hai
'ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai
diya hai aag ka miTTi ki lau hai
mujhe sun lengi to dekhengi aankhen
meri aawaz mein suraj ki zau hai
rikab aur bag qabu mein nahin hain
ye asp-e-waqt kitna tez-rau hai
meri ta'rif ke hain do hawale
qadam aflak par muTThi mein jau hai
nahin hai hurriyat ki koi qimat
magar pinjre ki qimat chaar sau hai
main kya hariyaliyon ki aas bandhun
zamin ke sath sapna bhi giro hai
'tarir' aansu hain aur dhundlahaTen hain
ye kaisi kahkashaon ki jilau hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.