ajab sada ye numaish mein kal sunai di
ajab sadā ye numā.ish meñ kal sunā.ī dī
kisī ne sañg se tasvīr ko rihā.ī dī
sunahre harf bhī miTTī ke bhaav bech diye
tujhe to maiñ ne na.e zehn kī kamā.ī dī
bachā sakī na mujhe bhiiḌ chup ke qātil se
hazār shor machāyā bahut duhā.ī dī
vo shaḳhs mar ke bhī apnī jagah se hil na sakā
ki ik zamāne ne jumbish to intihā.ī dī
kabhī vo TuuT ke bikhrā kabhī vo jam.a huā
ḳhudā ne us ko ajab mo.ajiza-numā.ī dī
ajab sada ye numaish mein kal sunai di
kisi ne sang se taswir ko rihai di
sunahre harf bhi miTTi ke bhaw bech diye
tujhe to main ne nae zehn ki kamai di
bacha saki na mujhe bhiD chup ke qatil se
hazar shor machaya bahut duhai di
wo shaKHs mar ke bhi apni jagah se hil na saka
ki ek zamane ne jumbish to intihai di
kabhi wo TuT ke bikhra kabhi wo jama hua
KHuda ne us ko ajab moajiza-numai di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.