ajab si gard jami hai yahan fazaon mein
'ajab sī gard jamī hai yahāñ fazāoñ meñ
ki jaise dhund milī ho kahīñ havāoñ meñ
jo manziloñ ke nishānāt de rahī haiñ tumheñ
hamārī guuñj bhī shāmil hai in sadāoñ meñ
kisī ke hijr meñ āñkheñ nikhar ga.iiñ apnī
ye bhiig bhiig ke Duubī rahī du'āoñ meñ
unhī ke yaad meñ rahtā hai chāñd bhī shādāñ
vo jin kī ḳhushbū abhī tak hai mere gaañv meñ
vo jis ko kahte the tahzīb mar chukī 'āsim'
panāh dhūñDiye jā kar kahīñ guphāoñ meñ
'ajab si gard jami hai yahan fazaon mein
ki jaise dhund mili ho kahin hawaon mein
jo manzilon ke nishanat de rahi hain tumhein
hamari gunj bhi shamil hai in sadaon mein
kisi ke hijr mein aankhen nikhar gain apni
ye bhig bhig ke Dubi rahi du'aon mein
unhi ke yaad mein rahta hai chand bhi shadan
wo jin ki KHushbu abhi tak hai mere ganw mein
wo jis ko kahte the tahzib mar chuki 'asim'
panah dhunDiye ja kar kahin guphaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.