ajab tarah ke kamal karne bhi aa gae hain
ajab tarah ke kamāl karne bhī aa ga.e haiñ
bichhaḌ ke ab maah o saal karne bhī aa ga.e haiñ
jo merī bātoñ ko māntā thā bilā-ta.āmul
suno use ab savāl karne bhī aa ga.e haiñ
sunā hai logoñ se ab vo miltā hai muskurā kar
use ta.alluq bahāl karne bhī aa ga.e haiñ
vo shaḳhs jis kī ḳhushī kā baa.is thiiñ merī bāteñ
use ab un par malāl karne bhī aa ga.e haiñ
sunā hai ab rāsta badaltā hai vo achānak
use to raahī niDhāl karne bhī aa ga.e haiñ
ajab tarah ke kamal karne bhi aa gae hain
bichhaD ke ab mah o sal karne bhi aa gae hain
jo meri baaton ko manta tha bila-taamul
suno use ab sawal karne bhi aa gae hain
suna hai logon se ab wo milta hai muskura kar
use talluq bahaal karne bhi aa gae hain
wo shaKHs jis ki KHushi ka bais thin meri baaten
use ab un par malal karne bhi aa gae hain
suna hai ab rasta badalta hai wo achanak
use to rahi niDhaal karne bhi aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.