ajab visal ki taqrib-e-ru-numai nahin
'ajab visāl ki taqrīb-e-rū-numā.ī nahīñ
phir aisā hijr ki jis meñ kahīñ judā.ī nahīñ
libās-e-jism to maujūd hai abhī tujh par
barahna honā mirī jaan be-hayā.ī nahīñ
vo ik ġhazal thī magar ruuh kī zamīn meñ thī
hamāre ḳhāk-zada qāfiyoñ meñ aa.ī nahīñ
ziyāda din nahīñ Tiktā kisī kī naukrī meñ
ye dil kā tarz-e-ta'alluq hai bevafā.ī nahīñ
maiñ intihāoñ se āġhāz kar rahā huuñ ye 'ishq
so is safar meñ qadam koī ibtidā.ī nahīñ
badan to bhīgtā rahtā hai bārishoñ meñ bahut
magar mirī badaniyyat abhī nahā.ī nahīñ
alag alag hī adā kījiye ye dogānā
agar namāz-e-jamā’at meñ ham-navā.ī nahīñ
na bhīñch yuuñ ki chaTaḳh jaa.e shīsha-e-āġhosh
giraft Dhīlī bhī rakhne meñ kuchh burā.ī nahīñ
nashist-e-ḳhāk se uTThā nahīñ kabhī 'ehsās'
vo uTh ke masdar-e-rūhāniyat se aa.ī nahīñ
'ajab visal ki taqrib-e-ru-numai nahin
phir aisa hijr ki jis mein kahin judai nahin
libas-e-jism to maujud hai abhi tujh par
barahna hona meri jaan be-hayai nahin
wo ek ghazal thi magar ruh ki zamin mein thi
hamare KHak-zada qafiyon mein aai nahin
ziyaada din nahin Tikta kisi ki naukri mein
ye dil ka tarz-e-ta'alluq hai bewafai nahin
main intihaon se aaghaz kar raha hun ye 'ishq
so is safar mein qadam koi ibtidai nahin
badan to bhigta rahta hai barishon mein bahut
magar meri badaniyyat abhi nahai nahin
alag alag hi ada kijiye ye dogana
agar namaz-e-jama’at mein ham-nawai nahin
na bhinch yun ki chaTaKH jae shisha-e-aghosh
giraft Dhili bhi rakhne mein kuchh burai nahin
nashist-e-KHak se uTTha nahin kabhi 'ehsas'
wo uTh ke masdar-e-ruhaniyat se aai nahin
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 86)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.