ajab zamane ki gardishen hain KHuda hi bas yaad aa raha hai
ajab zamane ki gardishen hain KHuda hi bas yaad aa raha hai
Hafeez Jaunpuri
MORE BYHafeez Jaunpuri
ajab zamāne kī gardisheñ haiñ ḳhudā hī bas yaad aa rahā hai
nazar na jis se milāte the ham vahī ab āñkheñ dikhā rahā hai
baḌhī hai aapas meñ bad-gumānī maza mohabbat kā aa rahā hai
ham us ke dil ko TaTolte haiñ to ham ko vo aazmā rahā hai
ghar apnā kartī hai nā-umīdī hamāre dil meñ ġhazab hai dekhiyo
ye vo makāñ hai ki jis meñ barsoñ umīdoñ kā jamghaTā rahā hai
badal gayā hai mizāj un kā maiñ apne is jazb-e-dil ke sadqe
vahī shikāyat hai ab udhar se idhar jo pahle gila rahā hai
kisī kī jab aas TuuT jaa.e to ḳhaak vo aasrā lagā.e
shikasta dil kar ke mujh ko zālim nigāh ab kyā milā rahā hai
yahāñ to tark-e-sharāb se ḳhud dil-o-jigar phuñk rahe haiñ vaa.iz
sunā ke dozaḳh kā zikr-e-nāhaq jale ko tū bhī jalā rahā hai
karūñ na kyuuñ husn kā nazāra sunūñ na kyuuñ ishq kā fasāna
isī kā to mashġhala thā barsoñ isī kā to valvala rahā hai
umiid jab had se baḌh ga.ī ho to hāsil us kā hai nā-umīdī
bhalā na kyuuñ yaas daf.atan ho ki muddatoñ aasrā rahā hai
mujhe tavaqqo.a ho kyā ḳhabar kī zabāñ hai qāsid kī haath bhar kī
lagī havā tak nahīñ udhar kī abhī se bāteñ banā rahā hai
zarā yahāñ jis ne sar uThāyā ki us ne nīchā use dikhāyā
koī batā.e to ye zamāna kasī kā bhī āshnā rahā hai
'hafīz' apnā kamāl thā ye ki jis ke hāthoñ zavāl dekhā
falak ne jitnā hameñ baḌhāyā ziyāda us se ghaTā rahā hai
ajab zamane ki gardishen hain KHuda hi bas yaad aa raha hai
nazar na jis se milate the hum wahi ab aankhen dikha raha hai
baDhi hai aapas mein bad-gumani maza mohabbat ka aa raha hai
hum us ke dil ko TaTolte hain to hum ko wo aazma raha hai
ghar apna karti hai na-umidi hamare dil mein ghazab hai dekhiyo
ye wo makan hai ki jis mein barson umidon ka jamghaTa raha hai
badal gaya hai mizaj un ka main apne is jazb-e-dil ke sadqe
wahi shikayat hai ab udhar se idhar jo pahle gila raha hai
kisi ki jab aas TuT jae to KHak wo aasra lagae
shikasta dil kar ke mujh ko zalim nigah ab kya mila raha hai
yahan to tark-e-sharab se KHud dil-o-jigar phunk rahe hain waiz
suna ke dozaKH ka zikr-e-nahaq jale ko tu bhi jala raha hai
karun na kyun husn ka nazara sunun na kyun ishq ka fasana
isi ka to mashghala tha barson isi ka to walwala raha hai
umid jab had se baDh gai ho to hasil us ka hai na-umidi
bhala na kyun yas dafatan ho ki muddaton aasra raha hai
mujhe tawaqqoa ho kya KHabar ki zaban hai qasid ki hath bhar ki
lagi hawa tak nahin udhar ki abhi se baaten bana raha hai
zara yahan jis ne sar uThaya ki us ne nicha use dikhaya
koi batae to ye zamana kasi ka bhi aashna raha hai
'hafiz' apna kamal tha ye ki jis ke hathon zawal dekha
falak ne jitna hamein baDhaya ziyaada us se ghaTa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.