ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak
ajal hotī rahegī ishq kar ke multavī kab tak
muqaddar meñ hai yā rab ārzū-e-ḳhud-kushī kab tak
taḌapne par hamāre aap rokeñge hañsī kab tak
ye māthe kī shikan kab tak ye abrū kī kajī kab tak
kiran phūTī ufuq par āftāb-e-sub.h-e-mahshar kī
sunā.e jaao apnī dāstān-e-zindagī kab tak
dayār-e-ishq meñ ik qalb-e-sozāñ chhoḌ aa.e the
jalā.ī thī jo ham ne sham.a raste meñ jalī kab tak
jo tum parda uThā dete to āñkheñ band ho jātīñ
tajallī sāmne aatī to duniyā dekhtī kab tak
tah-e-girdāb kī bhī fikr kar ai Dūbne vaale
nazar aatī rahegī sāhiloñ kī raushnī kab tak
kabhī to zindagī ḳhud bhī ilāj-e-zindagī kartī
ajal kartī rahe darmān-e-dard-e-zindagī kab tak
vo din nazdīk haiñ jab aadmī shaitāñ se khelegā
khilaunā ban ke shaitāñ kā rahegā aadmī kab tak
kabhī to ye fasād-e-zehn kī dīvār TūTegī
are āḳhir ye farq-e-ḳhvājgī-o-bandagī kab tak
dayār-e-ishq meñ pahchānñe vaale nahīñ milte
ilāhī maiñ rahūñ apne vatan meñ ajnabī kab tak
muḳhātab kar ke apne dil ko kahnā ho to kuchh kahiye
'sabā' us bevafā ke āsare par shā.irī kab tak
ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak
muqaddar mein hai ya rab aarzu-e-KHud-kushi kab tak
taDapne par hamare aap rokenge hansi kab tak
ye mathe ki shikan kab tak ye abru ki kaji kab tak
kiran phuTi ufuq par aaftab-e-subh-e-mahshar ki
sunae jao apni dastan-e-zindagi kab tak
dayar-e-ishq mein ek qalb-e-sozan chhoD aae the
jalai thi jo hum ne shama raste mein jali kab tak
jo tum parda uTha dete to aankhen band ho jatin
tajalli samne aati to duniya dekhti kab tak
tah-e-girdab ki bhi fikr kar ai Dubne wale
nazar aati rahegi sahilon ki raushni kab tak
kabhi to zindagi KHud bhi ilaj-e-zindagi karti
ajal karti rahe darman-e-dard-e-zindagi kab tak
wo din nazdik hain jab aadmi shaitan se khelega
khilauna ban ke shaitan ka rahega aadmi kab tak
kabhi to ye fasad-e-zehn ki diwar TuTegi
are aaKHir ye farq-e-KHwajgi-o-bandagi kab tak
dayar-e-ishq mein pahchanne wale nahin milte
ilahi main rahun apne watan mein ajnabi kab tak
muKHatab kar ke apne dil ko kahna ho to kuchh kahiye
'saba' us bewafa ke aasare par shairi kab tak
- Book : siip (Magzin) (Pg. 221)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.