ajib chiz mohabbat ki wardat bhi hai
ajiib chiiz mohabbat kī vārdāt bhī hai
hadīs-e-dil bhī hai rūdād-e-kā.enāt bhī hai
obūdiyat to hamārā hai sheva-e-fitrī
agar ḳhudā.ī kareñ ham to koī baat bhī hai
idhar bhī uThtī hai arbāb-e-anjuman kī nazar
kuchh aap hī nahīñ mahfil meñ merī zaat bhī hai
mire vajūd se nā-mumkināt kā aalam
mire vajūd se duniyā-e-mumkināt bhī hai
ye irtiqā-e-bashar kī hai kaun sī manzil
ki is kī zad meñ ḳhudā bhī hai kā.enāt bhī hai
ajib chiz mohabbat ki wardat bhi hai
hadis-e-dil bhi hai rudad-e-kaenat bhi hai
obudiyat to hamara hai shewa-e-fitri
agar KHudai karen hum to koi baat bhi hai
idhar bhi uThti hai arbab-e-anjuman ki nazar
kuchh aap hi nahin mahfil mein meri zat bhi hai
mere wajud se na-mumkinat ka aalam
mere wajud se duniya-e-mumkinat bhi hai
ye irtiqa-e-bashar ki hai kaun si manzil
ki is ki zad mein KHuda bhi hai kaenat bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.