ajib jumbish-e-lab hai KHitab bhi na kare
'ajīb jumbish-e-lab hai ḳhitāb bhī na kare
savāl kar ke mujhe lā-javāb bhī na kare
vo mere qurb meñ duurī kī chāshnī rakkhe
mire liye mirā jiinā 'azāb bhī na kare
kabhī kabhī mujhe sairāb kar ke ḳhush kar de
hamesha gumrah-e-sehr-e-sarāb bhī na kare
'ajīb barzaḳh-e-ulfat meñ mujh ko rakkhā hai
ki vo ḳhafā bhī rahe aur itaab bhī na kare
vo intizār dikhā.e is ehtiyāt ke saath
ki merī āñkhoñ ko mahrūm-e-ḳhvāb bhī na kare
vo raat bhar kuchh is andāz se kare bāteñ
mujhe jagā.e bhī nīñdeñ ḳharāb bhī na kare
har ek she'r meñ 'āzar' nuqūsh haiñ us ke
magar vo ḳhud ko kabhī be-naqāb bhī na kare
'ajib jumbish-e-lab hai KHitab bhi na kare
sawal kar ke mujhe la-jawab bhi na kare
wo mere qurb mein duri ki chashni rakkhe
mere liye mera jina 'azab bhi na kare
kabhi kabhi mujhe sairab kar ke KHush kar de
hamesha gumrah-e-sehr-e-sarab bhi na kare
'ajib barzaKH-e-ulfat mein mujh ko rakkha hai
ki wo KHafa bhi rahe aur itab bhi na kare
wo intizar dikhae is ehtiyat ke sath
ki meri aankhon ko mahrum-e-KHwab bhi na kare
wo raat bhar kuchh is andaz se kare baaten
mujhe jagae bhi ninden KHarab bhi na kare
har ek she'r mein 'azar' nuqush hain us ke
magar wo KHud ko kabhi be-naqab bhi na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.