ajib KHauf musallat tha kal haweli par
'ajīb ḳhauf musallat thā kal havelī par
lahu charāġh jalātī rahī hathelī par
sunegā kaun magar ehtijāj ḳhushbū kā
ki saañp zahr chhiḌaktā rahā chamelī par
shab-e-firāq mirī aañkh ko thakan se bachā
ki niiñd vaar na kar de tirī sahelī par
vo bevafā thā to phir itnā mehrbāñ kyuuñ thā
bichhaḌ ke us se maiñ sochūñ usī pahelī par
jalā na ghar kā añdherā charāġh se 'mohsin'
sitam na kar mirī jaañ apne yaar belī par
'ajib KHauf musallat tha kal haweli par
lahu charagh jalati rahi hatheli par
sunega kaun magar ehtijaj KHushbu ka
ki sanp zahr chhiDakta raha chameli par
shab-e-firaq meri aankh ko thakan se bacha
ki nind war na kar de teri saheli par
wo bewafa tha to phir itna mehrban kyun tha
bichhaD ke us se main sochun usi paheli par
jala na ghar ka andhera charagh se 'mohsin'
sitam na kar meri jaan apne yar beli par
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 878)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.