ajib log hain gul karke zindagi ke charagh
ajiib log haiñ gul karke zindagī ke charāġh
jalā.e baiThe haiñ apne gharoñ meñ ghī ke charāġh
bhaTak rahe haiñ añdheroñ meñ mehr-o-māh-o-nujūm
har ek samt farozāñ haiñ tīrgī ke charāġh
nazar nazar meñ diye hasratoñ ke larzāñ haiñ
qadam qadam pe haiñ raqsāñ fasurdagī ke charāġh
chaman meñ zāġh-o-zaġhan kī bapā vo shorish hai
ki chhin ga.e haiñ anādil se naġhmagī ke charāġh
bhaḌak uThī hai diloñ meñ vo ātish-e-nafrat
ki jal uThe haiñ laboñ tak pe tishnagī ke charāġh
ye soch leñ ki uḌaa.e hañsī na bād-e-ḳhizāñ
kareñ na ahl-e-chaman gul shaguftagī ke charāġh
unhīñ ke ghar meñ añdherā hai ḳhuun se jin ke
faroġh-kash haiñ shabistān-e-ḳhvājgī ke charāġh
muhīt ḳhāna-e-jāñ par hai abr-e-mahrūmī
jalāo ḳhūn-e-tamannā se zindagī ke charāġh
uThī haiñ āñdhiyāñ iblīsiyat kī vo 'at.har'
laraz rahe haiñ ḳhudā.ī meñ bandagī ke charāġh
ajib log hain gul karke zindagi ke charagh
jalae baiThe hain apne gharon mein ghi ke charagh
bhaTak rahe hain andheron mein mehr-o-mah-o-nujum
har ek samt farozan hain tirgi ke charagh
nazar nazar mein diye hasraton ke larzan hain
qadam qadam pe hain raqsan fasurdagi ke charagh
chaman mein zagh-o-zaghan ki bapa wo shorish hai
ki chhin gae hain anadil se naghmagi ke charagh
bhaDak uThi hai dilon mein wo aatish-e-nafrat
ki jal uThe hain labon tak pe tishnagi ke charagh
ye soch len ki uDae hansi na baad-e-KHizan
karen na ahl-e-chaman gul shaguftagi ke charagh
unhin ke ghar mein andhera hai KHun se jin ke
farogh-kash hain shabistan-e-KHwajgi ke charagh
muhit KHana-e-jaan par hai abr-e-mahrumi
jalao KHun-e-tamanna se zindagi ke charagh
uThi hain aandhiyan iblisiyat ki wo 'athar'
laraz rahe hain KHudai mein bandagi ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.