ajib mantiq hai usko sochenge KHush rahenge
ajiib mantiq hai us ko socheñge ḳhush raheñge
ham apnī āñkhoñ meñ dhuul jhoñkeñge ḳhush raheñge
maiñ ḳhastā-hāloñ kī ḳhasta-hālī pe ro paḌā huuñ
ye log kāġhaz ke phuul becheñge ḳhush raheñge
koī to hai jo hamārī hālat pe ro rahā hai
ham us ke hone kī ḳhair māñgeñge ḳhush raheñge
guzār leñge kisī dilāse kī aaḌ le kar
kisī ke aane meñ vaqt kāTeñge ḳhush raheñge
ajib mantiq hai us ko sochenge KHush rahenge
hum apni aankhon mein dhul jhonkenge KHush rahenge
main KHasta-haalon ki KHasta-haali pe ro paDa hun
ye log kaghaz ke phul bechenge KHush rahenge
koi to hai jo hamari haalat pe ro raha hai
hum us ke hone ki KHair mangenge KHush rahenge
guzar lenge kisi dilase ki aaD le kar
kisi ke aane mein waqt kaTenge KHush rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.