ajib rang sa chehron pe be-kasi ka hai
ajiib rañg sā chehroñ pe be-kasī kā hai
chalo sambhal ke ye aalam ravā-ravī kā hai
kabhī na baat zamāne ne dil lagā ke sunī
yahī to ḳhaas sabab merī be-dilī kā hai
sunā hai log vahāñ mujh se ḳhaar khāte haiñ
fasāna aam jahāñ merī bebasī kā hai
ajib rang sa chehron pe be-kasi ka hai
chalo sambhal ke ye aalam rawa-rawi ka hai
kabhi na baat zamane ne dil laga ke suni
yahi to KHas sabab meri be-dili ka hai
suna hai log wahan mujh se KHar khate hain
fasana aam jahan meri bebasi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.