ajib rut hai ye hijr-o-visal se aage
'ajīb rut hai ye hijr-o-visāl se aage
kamāl hone lagā hai kamāl se aage
vo ek lamha jo titlī sā apne biich meñ hai
use maiñ le ke chalī māh-o-sāl se aage
koī javāz ho hamdam ab is rifāqat kā
talāsh kar mujhe mere jamāl se aage
javāb-e-ḳhvāb bhalā ḳhvāb ke sivā kyā hai
magar vo niklā nahīñ hai savāl se aage
pighal rahā hai mirā din siyāh rātoñ meñ
kahānī ghuum rahī hai zavāl se aage
ruke hue haiñ kināre pe vo talātum hai
ye shahr-e-ishq hai aur hai majāl se aage
mashām-e-jāñ meñ koī diip sā jalā.e hue
nikal chalī huuñ maiñ ranj-o-malāl se aage
'ajib rut hai ye hijr-o-visal se aage
kamal hone laga hai kamal se aage
wo ek lamha jo titli sa apne bich mein hai
use main le ke chali mah-o-sal se aage
koi jawaz ho hamdam ab is rifaqat ka
talash kar mujhe mere jamal se aage
jawab-e-KHwab bhala KHwab ke siwa kya hai
magar wo nikla nahin hai sawal se aage
pighal raha hai mera din siyah raaton mein
kahani ghum rahi hai zawal se aage
ruke hue hain kinare pe wo talatum hai
ye shahr-e-ishq hai aur hai majal se aage
masham-e-jaan mein koi dip sa jalae hue
nikal chali hun main ranj-o-malal se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.