Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib sham thi jab lauT kar main ghar aaya

Seeman Naved

ajib sham thi jab lauT kar main ghar aaya

Seeman Naved

MORE BYSeeman Naved

    'ajīb shaam thī jab lauT kar maiñ ghar aayā

    koī charāġh liye muntazir nazar aayā

    du'ā ko haath uThā.e the ba-vaqt-e-sahar

    ki ik sitārā mire haath par utar aayā

    tamām 'umr tire ġham ābyārī

    to shāḳh-e-jāñ meñ gul-e-tāza samar aayā

    phir ek shaam dar-e-dil pe dastakeñ jāgīñ

    aur ek ḳhvāb ke hamrāh nāma-bar aayā

    gale se lag ke mire pūchhne lagā dariyā

    kyuuñ apnī pyaas ko sahrā meñ chhoḌ kar aayā

    ye kis dayār ke qisse sunā rahe ho 'naved'

    ye kis hasīn āñkhoñ meñ ḳhvāb dar aayā

    'ajib sham thi jab lauT kar main ghar aaya

    koi charagh liye muntazir nazar aaya

    du'a ko hath uThae hi the ba-waqt-e-sahar

    ki ek sitara mere hath par utar aaya

    tamam 'umr tere gham ki aabyari ki

    to shaKH-e-jaan mein gul-e-taza ka samar aaya

    phir ek sham dar-e-dil pe dastaken jagin

    aur ek KHwab ke hamrah nama-bar aaya

    gale se lag ke mere puchhne laga dariya

    kyun apni pyas ko sahra mein chhoD kar aaya

    ye kis dayar ke qisse suna rahe ho 'nawed'

    ye kis hasin ka aankhon mein KHwab dar aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now