ajib shaKHs hai tewar hai baghiyana sa
ajiib shaḳhs hai tevar hai bāġhiyāna sā
banā.e rakhtā hai suulī pe āshiyāna sā
ajiib shauq hai shauq-e-visāl bhī us kā
gulāl chehra tabassum hai fātehāna sā
nigāh-e-nāz liye ḳhvāb ḳhvāb sūrat hai
har aadmī hai yahāñ gum-shuda fasāna sā
tasavvurāt ke but TūTte bikharte haiñ
har ik jumūd pe lagtā hai tāziyāna sā
taḌaptī machhlī kī āñkheñ phaḌak ga.ī sī haiñ
ġhazab kā saadh rahā hai koī nishāna sā
zamāna-sāz qalandar hai kis ḳhayāl meñ gum
aur us ke zer-e-qadam hai paḌā zamāna sā
jhukā.e rakhtī hai us ke kalām kī quvvat
libās Daal rakhā hai phaTā-purānā sā
kisī ne maut kī parchī pe likh diyā 'ulfat'
ye zindagī se ta.āruf hai ġhā.ebāna sā
ajib shaKHs hai tewar hai baghiyana sa
banae rakhta hai suli pe aashiyana sa
ajib shauq hai shauq-e-visal bhi us ka
gulal chehra tabassum hai fatehana sa
nigah-e-naz liye KHwab KHwab surat hai
har aadmi hai yahan gum-shuda fasana sa
tasawwuraat ke but TuTte bikharte hain
har ek jumud pe lagta hai taziyana sa
taDapti machhli ki aankhen phaDak gai si hain
ghazab ka sadh raha hai koi nishana sa
zamana-saz qalandar hai kis KHayal mein gum
aur us ke zer-e-qadam hai paDa zamana sa
jhukae rakhti hai us ke kalam ki quwwat
libas Dal rakha hai phaTa-purana sa
kisi ne maut ki parchi pe likh diya 'ulfat'
ye zindagi se taaruf hai ghaebana sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.