ajib shaKHs hun fart-e-wabaal hote hue
ajiib shaḳhs huuñ fart-e-vabāl hote hue
firāq maañg rahā huuñ visāl hote hue
niDhāl apne tamāshā.iyoñ ke jhurmuT meñ
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ ḳhayāl hote hue
bas ek varzish-e-tahrīr lauh-e-hastī par
bas ik savāl kī dhun ḳhud savāl hote hue
kuchh is kamāl se rauñdā gayā huuñ mastī meñ
bahut sukūn hai ab pā.emāl hote hue
sharār-e-sañg ko kyā ab bhī isti.āra kahūñ
in āñsuoñ kī ye zinda misāl hote hue
guzar gayā huuñ misāl-e-zamāna ḳhud par se
maiñ lamha lamha alal-ittisāl hote hue
maiñ apne aks ko 'āsim' ḳhudā samajh baiThā
ḳhatā huī thī ye mahv-e-jamāl hote hue
ajib shaKHs hun fart-e-wabaal hote hue
firaq mang raha hun visal hote hue
niDhaal apne tamashaiyon ke jhurmuT mein
main KHud ko dekh raha hun KHayal hote hue
bas ek warzish-e-tahrir lauh-e-hasti par
bas ek sawal ki dhun KHud sawal hote hue
kuchh is kamal se raunda gaya hun masti mein
bahut sukun hai ab paemal hote hue
sharar-e-sang ko kya ab bhi istiara kahun
in aansuon ki ye zinda misal hote hue
guzar gaya hun misal-e-zamana KHud par se
main lamha lamha alal-ittisal hote hue
main apne aks ko 'asim' KHuda samajh baiTha
KHata hui thi ye mahw-e-jamal hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.