ajib shaKHs tha Dar Dar ke ghat karta tha
'ajīb shaḳhs thā Dar Dar ke ghaat kartā thā
diye jalātā thā tab jā ke raat kartā thā
usī kī tarh thā ḳhūñḳhār jazba-e-'ishq us kā
nazar nazar meñ na.e vārdāt kartā thā
bichhaḌ ke us se ab aatā hai yaad aksar kyuuñ
vo jab bhī miltā bichhaḌne kī baat kartā thā
kise yaqīn ho shamshīr dekh kar us kī
vo ik zamāne meñ phūloñ kī baat kartā thā
machal se uThte the saare daraḳht jangal ke
parinda uḌte hue mo’jizāt kartā thā
vo muskurātā to palkoñ pe din chamakte the
udaas hotā to āñkhoñ meñ raat kartā thā
vo sang-dil thā ki jaise bhī sab se pesh aatā
vahī sulūk vo apne bhī saath kartā thā
'ajib shaKHs tha Dar Dar ke ghat karta tha
diye jalata tha tab ja ke raat karta tha
usi ki tarh tha KHunKHar jazba-e-'ishq us ka
nazar nazar mein nae wardat karta tha
bichhaD ke us se ab aata hai yaad aksar kyun
wo jab bhi milta bichhaDne ki baat karta tha
kise yaqin ho shamshir dekh kar us ki
wo ek zamane mein phulon ki baat karta tha
machal se uThte the sare daraKHt jangal ke
parinda uDte hue mo’jizat karta tha
wo muskuraata to palkon pe din chamakte the
udas hota to aankhon mein raat karta tha
wo sang-dil tha ki jaise bhi sab se pesh aata
wahi suluk wo apne bhi sath karta tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 132)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.