ajib tarz-e-takallum se aazma ke mujhe
ajiib tarz-e-takallum se aazmā ke mujhe
vo chāhtā hai abhī dekhnā jhukā ke mujhe
maiñ der se hī sahī ghar pahuñch gayā āḳhir
vo mutma.in thā nayā rāsta dikhā ke mujhe
ik umr maiñ ne jise ġhaur se nahīñ dekhā
rakhā usī ne kaḌī dhuup se bachā ke mujhe
maiñ aa.ina huuñ ye us ko ḳhabar na thī shāyad
vo sharmsār huā raushnī meñ lā ke mujhe
kabhī jahāñ pe hazāroñ charāġh jalte the
milā sukūn vahāñ ik diyā jalā ke mujhe
surūr-e-sahn-e-chaman se sukūt-e-dasht-e-talab
kahāñ se lā.īñ havā.eñ kahāñ uḌā ke mujhe
ajib tarz-e-takallum se aazma ke mujhe
wo chahta hai abhi dekhna jhuka ke mujhe
main der se hi sahi ghar pahunch gaya aaKHir
wo mutmain tha naya rasta dikha ke mujhe
ek umr main ne jise ghaur se nahin dekha
rakha usi ne kaDi dhup se bacha ke mujhe
main aaina hun ye us ko KHabar na thi shayad
wo sharmsar hua raushni mein la ke mujhe
kabhi jahan pe hazaron charagh jalte the
mila sukun wahan ek diya jala ke mujhe
surur-e-sahn-e-chaman se sukut-e-dasht-e-talab
kahan se lain hawaen kahan uDa ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.