ajnabi sa ek sitara hun main sayyaron ke bich
ajnabī sā ik sitāra huuñ maiñ sayyāroñ ke biich
ik judā kirdār huuñ apne hī kirdāroñ ke biich
phir rahī huuñ be-sabab pāgal havā sī jā-ba-jā
dhund meñ lipTe hue ḳhāmosh kohsāroñ ke biich
is hisār-e-ḳhāk ko jab toḌ kar niklūñgī maiñ
DhūñDte rah jāoge tum mujh ko dīvāroñ ke biich
kuchh kaḌe Takrāo de jaatī hai aksar raushnī
juuñ chamak uThtī hai koī barq talvāroñ ke bech
shakl ye behtar hai lekin puḳhtagī ke vāste
aao miTī ko rakheñ kuchh der añgāroñ ke biich
ajnabi sa ek sitara hun main sayyaron ke bich
ek juda kirdar hun apne hi kirdaron ke bich
phir rahi hun be-sabab pagal hawa si ja-ba-ja
dhund mein lipTe hue KHamosh kohsaron ke bich
is hisar-e-KHak ko jab toD kar niklungi main
DhunDte rah jaoge tum mujh ko diwaron ke bich
kuchh kaDe Takrao de jati hai aksar raushni
jun chamak uThti hai koi barq talwaron ke bech
shakl ye behtar hai lekin puKHtagi ke waste
aao miTi ko rakhen kuchh der angaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.