akele akele hi pa li rihai
akele akele hī pā lī rihā.ī
mujhe maare jaatī hai terī judā.ī
ye āhañg-e-naġhma ye rañg-e-taġhazzul
har ik chiiz terī hī ḳhātir rachā.ī
marī jaañ ye kaisā sitam vaqt kā hai
hai merī hī qismat meñ nauha-sarā.ī
sitāroñ kī gardish diloñ kā bichhaḌnā
ye kaise ḳhudā kī hai kaisī ḳhudā.ī
na pūchho abhī haal 'āhan' kā yaaro
kabhī jāñ-ba-lab hai kabhī jāñ-fidā.ī
akele akele hi pa li rihai
mujhe mare jati hai teri judai
ye aahang-e-naghma ye rang-e-taghazzul
har ek chiz teri hi KHatir rachai
mari jaan ye kaisa sitam waqt ka hai
hai meri hi qismat mein nauha-sarai
sitaron ki gardish dilon ka bichhaDna
ye kaise KHuda ki hai kaisi KHudai
na puchho abhi haal 'ahan' ka yaro
kabhi jaan-ba-lab hai kabhi jaan-fidai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.