aks dekha to laga koi kami hai mujh mein
aks dekhā to lagā koī kamī hai mujh meñ
aa.ina kahtā thā maujūd sabhī hai mujh meñ
raushnī phir tujhe darpesh hai ik aur safar
duur tak jā.egī jo aag lagī hai mujh meñ
karvaTeñ le ke sahar karne kī pur-ḳhār thakan
kabhī tujh meñ hai numāyāñ to kabhī hai mujh meñ
koī ehsās-e-ziyāñ jaag uThā hai jaise
ek uljhī sī girah jab se khulī hai mujh meñ
sub.h tak jaane kahāñ mujh ko uḌā kar le jaa.e
ek āñdhī jo sar-e-shām chalī hai mujh meñ
aks dekha to laga koi kami hai mujh mein
aaina kahta tha maujud sabhi hai mujh mein
raushni phir tujhe darpesh hai ek aur safar
dur tak jaegi jo aag lagi hai mujh mein
karwaTen le ke sahar karne ki pur-KHar thakan
kabhi tujh mein hai numayan to kabhi hai mujh mein
koi ehsas-e-ziyan jag uTha hai jaise
ek uljhi si girah jab se khuli hai mujh mein
subh tak jaane kahan mujh ko uDa kar le jae
ek aandhi jo sar-e-sham chali hai mujh mein
- Book : safar aamada (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.