aks-e-jamal-e-yar ki tasir dekhna
aks-e-jamāl-e-yār kī tāsīr dekhnā
dil ban gayā hai husn kī tasvīr dekhnā
aa.ī hai phir chaman se havā-e-junūñ-navāz
shāyad hai phir nasīb meñ zanjīr dekhnā
phir dil ko hai kashākash-e-hasrat se vāsta
phir dil hai vaqt-e-kāvish-e-tadbīr dekhnā
phir ibtilā-e-ishq kī jur.at huī mujhe
phir hai fuġhāñ ko hasrat-e-tāsīr dekhnā
phir jazb-āzmā hai dil-e-be-qarār-e-shauq
phir hai ḳharosh nāla-e-shab-gīr dekhnā
phir ijz-e-shauq ne unheñ maġhrūr kar diyā
phir tamkanat huī hai ināñ-gīr dekhnā
phir kashmakash se zabt kī ghabrā chalā hai dil
phir chāhtā huuñ aah kī tāsīr dekhnā
phir ro rahā huuñ ishrat-e-māzī kī yaad meñ
phir huuñ asīr-e-gardish-e-taqdīr dekhnā
phir ho rahī hai un se tasavvur meñ guftugū
phir huuñ maiñ mahv-e-lazzat-e-taqrīr dekhnā
qismat meñ merī koī ḳhushī kī ghaḌī bhī hai
ai vāqifān-e-nauha-e-taqdīr dekhnā
'razmī' hai dil meñ phir havas-e-imtihān-e-shauq
phir chāhtā huuñ burrish-e-shamshīr dekhnā
aks-e-jamal-e-yar ki tasir dekhna
dil ban gaya hai husn ki taswir dekhna
aai hai phir chaman se hawa-e-junun-nawaz
shayad hai phir nasib mein zanjir dekhna
phir dil ko hai kashakash-e-hasrat se wasta
phir dil hai waqt-e-kawish-e-tadbir dekhna
phir ibtila-e-ishq ki jurat hui mujhe
phir hai fughan ko hasrat-e-tasir dekhna
phir jazb-azma hai dil-e-be-qarar-e-shauq
phir hai KHarosh nala-e-shab-gir dekhna
phir ijz-e-shauq ne unhen maghrur kar diya
phir tamkanat hui hai inan-gir dekhna
phir kashmakash se zabt ki ghabra chala hai dil
phir chahta hun aah ki tasir dekhna
phir ro raha hun ishrat-e-mazi ki yaad mein
phir hun asir-e-gardish-e-taqdir dekhna
phir ho rahi hai un se tasawwur mein guftugu
phir hun main mahw-e-lazzat-e-taqrir dekhna
qismat mein meri koi KHushi ki ghaDi bhi hai
ai waqifan-e-nauha-e-taqdir dekhna
'razmi' hai dil mein phir hawas-e-imtihan-e-shauq
phir chahta hun burrish-e-shamshir dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.