aks-e-ranj-o-malal hain hum log
aks-e-ranj-o-malāl haiñ ham log
zindagī kā ma.aal haiñ ham log
gaah saada fasāna haiñ hamdam
gaah rañgīñ-ḳhayāl haiñ ham log
sāz-e-māzī rabāb-e-fardā kabhī
aur kabhī chang-e-hāl haiñ ham log
jis kā ab tak javāb ban na paḌā
ek aisā savāl haiñ ham log
dukh jhapaTte haiñ ham pe yuuñ jaise
ik ġhanīmat kā maal haiñ ham log
piite haiñ zahr-e-ashk jiite haiñ
azm-o-dam kā kamāl haiñ ham log
dahr ko jo atā kare mastī
haañ vahī mast-hāl haiñ ham log
tār-o-tīra ho bazm apnī kyoñ
sham.a-e-raushan-ḳhayāl haiñ ham log
hai matā-e-hayāt ġham terā
sāhab-e-jāh-o-māl haiñ ham log
ham se chamkegī bazm-e-fan har shab
māhtāb-e-kamāl haiñ ham log
ye ta.allī nahīñ hai sach 'shāġhil'
shā.irī kā kamāl haiñ ham log
aks-e-ranj-o-malal hain hum log
zindagi ka maal hain hum log
gah sada fasana hain hamdam
gah rangin-KHayal hain hum log
saz-e-mazi rabab-e-farda kabhi
aur kabhi chang-e-haal hain hum log
jis ka ab tak jawab ban na paDa
ek aisa sawal hain hum log
dukh jhapaTte hain hum pe yun jaise
ek ghanimat ka mal hain hum log
pite hain zahr-e-ashk jite hain
azm-o-dam ka kamal hain hum log
dahr ko jo ata kare masti
han wahi mast-haal hain hum log
tar-o-tira ho bazm apni kyon
shama-e-raushan-KHayal hain hum log
hai mata-e-hayat gham tera
sahab-e-jah-o-mal hain hum log
hum se chamkegi bazm-e-fan har shab
mahtab-e-kamal hain hum log
ye talli nahin hai sach 'shaghil'
shairi ka kamal hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.