Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks ghaTte baDhte hain shishagari hai ek si

Jan Kashmiri

aks ghaTte baDhte hain shishagari hai ek si

Jan Kashmiri

MORE BYJan Kashmiri

    aks ghaTte baḌhte haiñ shīshagarī hai ek

    soch ke adse judā haiñ raushnī hai ek

    zindagī karte haiñ insāñ muḳhtalif andāz meñ

    go ki sab dastaras meñ zindagī hai ek

    dostoñ aur dushmanoñ meñ kis tarah tafrīq ho

    dostoñ aur dushmanoñ be-ruḳhī hai ek

    soch maflūj honā sānehe se kam nahīñ

    an-ginat shā.er haiñ lekin shā.erī hai ek

    sab diloñ meñ jā-guzīñ haiñ ġham ke qisse ek se

    sab jabīnoñ par raqam be-raunaqī hai ek

    'jān' ye sābit huā hai tajrabe aañch par

    dushmanī hai sau tarah dostī hai ek

    aks ghaTte baDhte hain shishagari hai ek si

    soch ke adse juda hain raushni hai ek si

    zindagi karte hain insan muKHtalif andaz mein

    go ki sab ki dastaras mein zindagi hai ek si

    doston aur dushmanon mein kis tarah tafriq ho

    doston aur dushmanon ki be-ruKHi hai ek si

    soch ka mafluj hona sanehe se kam nahin

    an-ginat shaer hain lekin shaeri hai ek si

    sab dilon mein ja-guzin hain gham ke qisse ek se

    sab jabinon par raqam be-raunaqi hai ek si

    'jaan' ye sabit hua hai tajrabe ki aanch par

    dushmani hai sau tarah ki dosti hai ek si

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 399)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now