aks kitne utar gae mujh mein
aks kitne utar ga.e mujh meñ
phir na jaane kidhar ga.e mujh meñ
maiñ ne chāhā thā zaḳhm bhar jaa.eñ
zaḳhm hī zaḳhm bhar ga.e mujh meñ
maiñ vo pal thā jo khā gayā sadiyāñ
sab zamāne guzar ga.e mujh meñ
ye jo maiñ huuñ zarā sā baaqī huuñ
vo jo tum the vo mar ga.e mujh meñ
mere andar thī aisī tārīkī
aa ke aaseb Dar ga.e mujh meñ
pahle utrā maiñ dil ke dariyā meñ
phir samundar utar ga.e mujh meñ
kaisā mujh ko banā diyā 'ammār'
kaun sā rañg bhar ga.e mujh meñ
aks kitne utar gae mujh mein
phir na jaane kidhar gae mujh mein
main ne chaha tha zaKHm bhar jaen
zaKHm hi zaKHm bhar gae mujh mein
main wo pal tha jo kha gaya sadiyan
sab zamane guzar gae mujh mein
ye jo main hun zara sa baqi hun
wo jo tum the wo mar gae mujh mein
mere andar thi aisi tariki
aa ke aaseb Dar gae mujh mein
pahle utra main dil ke dariya mein
phir samundar utar gae mujh mein
kaisa mujh ko bana diya 'ammar'
kaun sa rang bhar gae mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.