aks maujud na saya maujud
aks maujūd na saayā maujūd
mujh meñ ab kuchh nahīñ merā maujūd
nikal aatā huuñ maiñ aksar bāhar
koī ḳhud meñ rahe kitnā maujūd
kabhī dariyā se hai qatra ġhā.eb
kabhī qatre meñ hai dariyā maujūd
maiñ zarā bhī nahīñ us meñ lekin
mujh meñ vo saarā kā saarā maujūd
jab talak pyaas hai tujh meñ baaqī
bas tabhī tak hai ye dariyā maujūd
kaash maujūd na ho apnā koī
jis ghaḌī hone lagūñ lā-maujūd
aks maujud na saya maujud
mujh mein ab kuchh nahin mera maujud
nikal aata hun main aksar bahar
koi KHud mein rahe kitna maujud
kabhi dariya se hai qatra ghaeb
kabhi qatre mein hai dariya maujud
main zara bhi nahin us mein lekin
mujh mein wo sara ka sara maujud
jab talak pyas hai tujh mein baqi
bas tabhi tak hai ye dariya maujud
kash maujud na ho apna koi
jis ghaDi hone lagun la-maujud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.