aks mismar karta jata hun
aks mismār kartā jaatā huuñ
roz ik aa.ina banātā huuñ
phone kartā huuñ bārhā har shab
jāgtā huuñ use jagātā huuñ
jab bhī aatā hai yaad tū mujh ko
naam tak apnā bhuul jaatā huuñ
kyā ajab hai ki tez āñdhī meñ
ik diyā sā maiñ TimTimātā huuñ
vo kahānī mujhe nahīñ azbar
roz duniyā ko jo sunātā huuñ
chand ḳhushiyoñ ke vāste 'jāzib'
roz kitne hī ġham kamātā huuñ
aks mismar karta jata hun
roz ek aaina banata hun
phone karta hun barha har shab
jagta hun use jagata hun
jab bhi aata hai yaad tu mujh ko
nam tak apna bhul jata hun
kya ajab hai ki tez aandhi mein
ek diya sa main TimTimata hun
wo kahani mujhe nahin azbar
roz duniya ko jo sunata hun
chand KHushiyon ke waste 'jazib'
roz kitne hi gham kamata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.