aks the aawaz thi lekin koi chehra na tha
aks the āvāz thī lekin koī chehrā na thā
nāchte gaate qadam the aur koī pahrā na thā
hādsoñ kī maar se TuuTe magar zinda rahe
zindagī jo zaḳhm bhī tū ne diyā gahrā na thā
ḳhvāb kī mānind guzrīñ kaisī kaisī sūrateñ
dil ke vīrāne meñ koī aks bhī Thahrā na thā
aag kī bārish huī manzar jhulas kar rah ga.e
shaam ke saa.e meñ koī gūñjtā lahrā na thā
aks the aawaz thi lekin koi chehra na tha
nachte gate qadam the aur koi pahra na tha
hadson ki mar se TuTe magar zinda rahe
zindagi jo zaKHm bhi tu ne diya gahra na tha
KHwab ki manind guzrin kaisi kaisi suraten
dil ke virane mein koi aks bhi Thahra na tha
aag ki barish hui manzar jhulas kar rah gae
sham ke sae mein koi gunjta lahra na tha
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 95)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.