Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta

Zafar Sahbai

aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta

Zafar Sahbai

MORE BYZafar Sahbai

    aks zaḳhmoñ jabīñ par nahīñ aane detā

    maiñ ḳharāsh apne yaqīñ par nahīñ aane detā

    is liye maiñ ne ḳhatā thī ki duniyā dekhūñ

    varna vo mujh ko zamīñ par nahīñ aane detā

    umr bhar sīñchte rahne sazā paa.ī hai

    peḌ ab chhāñv hamīñ par nahīñ aane detā

    jhuuT bhī sach tarah bolnā aatā hai use

    koī luknat bhī kahīñ par nahīñ aane detā

    apne is ahd insāf hai tāqat ġhulām

    aañch bhī kursī-nashīñ par nahīñ aane detā

    chāhtā huuñ ki use pūjnā chhoḌūñ lekin

    kufr jo ḳhuuñ meñ hai diiñ par nahīñ aane detā

    aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta

    main KHarash apne yaqin par nahin aane deta

    is liye main ne KHata ki thi ki duniya dekhun

    warna wo mujh ko zamin par nahin aane deta

    umr bhar sinchte rahne ki saza pai hai

    peD ab chhanw hamin par nahin aane deta

    jhuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use

    koi luknat bhi kahin par nahin aane deta

    apne is ahd ka insaf hai taqat ka ghulam

    aanch bhi kursi-nashin par nahin aane deta

    chahta hun ki use pujna chhoDun lekin

    kufr jo KHun mein hai din par nahin aane deta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now