aksar jue ke khel mein haari gai hun main
aksar jue ke khel meñ haarī ga.ī huuñ maiñ
ġhairat ke naam par bhī to maarī ga.ī huuñ maiñ
sayyād zevaroñ meñ jakaḌtā rahā mujhe
piñjre meñ Dālne ko sañvārī ga.ī huuñ maiñ
nā-karda gunāhoñ kī sazā bhog rahī huuñ
sho'loñ se ka.ī baar guzārī ga.ī huuñ maiñ
kyuuñ phir se ka.Tahre meñ bulāyā gayā mujhe
kyuuñ phir salīb par se utārī ga.ī huuñ maiñ
hai ruuh dāġh-dār mire ujle jism kī
lahje kī maar maar ke maarī ga.ī huuñ maiñ
phir se tumhārī yaad dilā.ī ga.ī mujhe
phir se usī galī se guzārī ga.ī huuñ maiñ
tanhā.iyāñ tumhārā patā pūchhne lagīñ
jis din se zindagī se tumhārī ga.ī huuñ maiñ
maiñ āsmāñ pe chāñd sitāroñ kī saf meñ thī
tere liye zamīñ pe utārī ga.ī huuñ maiñ
tum ne jo muskurā ke 'tabassum' kahā mujhe
tum par tumhāre naam pe vaarī ga.ī huuñ maiñ
aksar jue ke khel mein haari gai hun main
ghairat ke nam par bhi to mari gai hun main
sayyaad zewaron mein jakaDta raha mujhe
pinjre mein Dalne ko sanwari gai hun main
na-karda gunahon ki saza bhog rahi hun
sho'lon se kai bar guzari gai hun main
kyun phir se kaTahre mein bulaya gaya mujhe
kyun phir salib par se utari gai hun main
hai ruh dagh-dar mere ujle jism ki
lahje ki mar mar ke mari gai hun main
phir se tumhaari yaad dilai gai mujhe
phir se usi gali se guzari gai hun main
tanhaiyan tumhaara pata puchhne lagin
jis din se zindagi se tumhaari gai hun main
main aasman pe chand sitaron ki saf mein thi
tere liye zamin pe utari gai hun main
tum ne jo muskura ke 'tabassum' kaha mujhe
tum par tumhaare nam pe wari gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.