aksar ye haalat hoti hai
aksar ye hālat hotī hai
ek ghaḌī muddat hotī hai
ham kaise zinda haiñ ab tak
ham ko bhī hairat hotī hai
yaar gila karte rahte haiñ
yāroñ kī aadat hotī hai
kaisī rasmeñ kaisī sharteñ
chāhat to chāhat hotī hai
dil auroñ kā ho jaatā hai
dil kī ye fitrat hotī hai
vasl ke lamhoñ ne samjhāyā
duniyā bhī jannat hotī hai
un āñkhoñ ko yaad karo to
dard meñ kuchh barakat hotī hai
aksar ye haalat hoti hai
ek ghaDi muddat hoti hai
hum kaise zinda hain ab tak
hum ko bhi hairat hoti hai
yar gila karte rahte hain
yaron ki aadat hoti hai
kaisi rasmen kaisi sharten
chahat to chahat hoti hai
dil auron ka ho jata hai
dil ki ye fitrat hoti hai
wasl ke lamhon ne samjhaya
duniya bhi jannat hoti hai
un aankhon ko yaad karo to
dard mein kuchh barakat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.