Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aksar zamin se uD ke falak par gaya hun main

Nawab Shahabadi

aksar zamin se uD ke falak par gaya hun main

Nawab Shahabadi

MORE BYNawab Shahabadi

    aksar zamīñ se uḌ ke falak par gayā huuñ maiñ

    mushkil thā ye kamāl magar kar gayā huuñ maiñ

    maiñ jāntā thā hogī na mujh par nazar kabhī

    mahfil meñ un phir bhī barābar gayā huuñ maiñ

    patthar tarāsh kar ke to ishvar banā diyā

    apne shāhkār se kyuuñ Dar gayā huuñ maiñ

    raushan kiyā hai maiñ ne hamesha vafā naam

    dār-o-rasan samt bhī aksar gayā huuñ maiñ

    Tokā har ek gaam pe mere zamīr ne

    jab bhī hudūd-e-shauq ke bāhar gayā huuñ maiñ

    maqtal haal dekhā hai maiñ ne qarīb se

    kūche meñ qātiloñ ke bhī aksar gayā huuñ maiñ

    ehsās mujh ko itnā bhī ab to nahīñ 'navāb'

    maiñ rahā huuñ aaj bhī ki mar gayā huuñ maiñ

    aksar zamin se uD ke falak par gaya hun main

    mushkil tha ye kamal magar kar gaya hun main

    main jaanta tha hogi na mujh par nazar kabhi

    mahfil mein un ki phir bhi barabar gaya hun main

    patthar tarash kar ke to ishwar bana diya

    apne hi shahkar se kyun Dar gaya hun main

    raushan kiya hai main ne hamesha wafa ka nam

    dar-o-rasan ki samt bhi aksar gaya hun main

    Toka har ek gam pe mere zamir ne

    jab bhi hudud-e-shauq ke bahar gaya hun main

    maqtal ka haal dekha hai main ne qarib se

    kuche mein qatilon ke bhi aksar gaya hun main

    ehsas mujh ko itna bhi ab to nahin 'nawab'

    main ji raha hun aaj bhi ki mar gaya hun main

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 611)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now