al-aman ki suraj hai meri jaan ke pichhe
al-amāñ ki sūraj hai merī jaan ke pīchhe
aur saañp baiThā hai sā.ebān ke pīchhe
ḳhush-gavār mausam par kāmyābiyāñ mabnī
man-chalā samundar hai bādbān ke pīchhe
ham se rah-navardoñ ko dasht raas kyā aatā
āḳhirash palaTnā thā ḳhaak chhān ke pīchhe
chīḳh al-madad shāyad dast-e-ġhaib aa jaa.e
noveloñ ke lashkar haiñ dāstān ke pīchhe
tiir khā ke pahlū meñ maiñ idhar taḌaptā thā
aur merī parchhā.īñ thī kamān ke pīchhe
muzmahil na ho jaa.e quvvatoñ kī tābānī
koī chhup ke baiThā hai āsmān ke pīchhe
nāqid-o-halākū meñ rabt-e-ḳhās hai 'yāvar'
kuchh qalam-numā ḳhanjar haiñ zabān ke pīchhe
al-aman ki suraj hai meri jaan ke pichhe
aur sanp baiTha hai saeban ke pichhe
KHush-gawar mausam par kaamyabiyan mabni
man-chala samundar hai baadban ke pichhe
hum se rah-nawardon ko dasht ras kya aata
aaKHirash palaTna tha KHak chhan ke pichhe
chiKH al-madad shayad dast-e-ghaib aa jae
nowelon ke lashkar hain dastan ke pichhe
tir kha ke pahlu mein main idhar taDapta tha
aur meri parchhain thi kaman ke pichhe
muzmahil na ho jae quwwaton ki tabani
koi chhup ke baiTha hai aasman ke pichhe
naqid-o-halaku mein rabt-e-KHas hai 'yawar'
kuchh qalam-numa KHanjar hain zaban ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.