alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain
alag alag tāsīreñ in kii, ashkoñ ke jo dhāre haiñ
ishq meñ Tapkeñ to haiñ motī, nafrat meñ añgāre haiñ
tum se mil kar khil uThtā thaa, tum se chhūT ke phīkā huuñ
ai rañgrez mire chehre ke saare rañg tumhāre haiñ
garmī kī lū meñ tapne ke ba.ad hī paanī kā hai maza
tujh ko jītnā āsāñ thaa, ham jaan ke tujh ko haare haiñ
ai purvā.ī merī ḳhushbū us chaukhaT ke dam se hai
tū bhī guzar ke dekh jahāñ maiñ ne kuchh lamhe guzāre haiñ
muñh se batāo yā na batāo tum ham ko dil kī bāteñ
jān-e-man ye nain tumhāre, ye jāsūs hamāre haiñ
aisī baat milan meñ kab hogī jaisī is pal meñ hai
sab ke biich meñ maiñ huuñ, vo hai or ḳhāmosh ishāre haiñ
tere muñh par terī ham ne kabhī na kī tārīf zarā
likhne baiThe to kāġhaz par rakh diye chāñd sitāre haiñ
alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain
ishq mein Tapken to hain moti, nafrat mein angare hain
tum se mil kar khil uThta tha, tum se chhuT ke phika hun
ai rangrez mere chehre ke sare rang tumhaare hain
garmi ki lu mein tapne ke baad hi pani ka hai maza
tujh ko jitna aasan tha, hum jaan ke tujh ko haare hain
ai purwai meri KHushbu us chaukhaT ke dam se hai
tu bhi guzar ke dekh jahan main ne kuchh lamhe guzare hain
munh se batao ya na batao tum hum ko dil ki baaten
jaan-e-man ye nain tumhaare, ye jasus hamare hain
aisi baat milan mein kab hogi jaisi is pal mein hai
sab ke bich mein main hun, wo hai or KHamosh ishaare hain
tere munh par teri hum ne kabhi na ki tarif zara
likhne baiThe to kaghaz par rakh diye chand sitare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.